Google

Thursday, October 22, 2009

Wah Wah Lucknow!!!

Wah Wah Lucknow!!!!


Woh Hazratganz ka sama, woh Chowk ki chaat,
Woh Mini Mahal ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh Ram Asrey ki mithai, woh Madhur Milan ka dosa,
Woh Marksmen ki pav bhaji aur Sharma ka samosa.


Woh rikshaw ka saffer, woh Nimbu Park ki hawa,
Woh Buddha Park ki raunak aur Dilkusha ka sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke mahiney,a
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.


Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli
Woh Zamghat ki patange aur woh kabootar Bazi ka khel,
Woh ghar ki chat pe Cricket aur colony ke ladkon ka chaurahe pe mail.


Woh Janpath ka mahol, woh Gomti ki leheren,
Woh BoatClub ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh Aminabad ki galiyan , woh IT ki ladkiyan.
Woh Novelty ki balcony aur woh Bajpayee ki pooriyan
Woh Aryan ka Chinese,woh Roverse ka style
Woh Barista ki Coffee jahan hum karte thei smile.



Woh school ki life aur woh College ki Zindagi,
Woh Polytechnic ka rasta aur woh Canteen ki patties
Woh College ki kudiyan aur GH ke saamne mel
Humne bhi bas dekhe hi thei wo saare khel.


Woh Bhootnath ki market,wo highway ke dhabe
Woh poorane lucknow ki raaste ,jahan humne safar hain kaate .
Wo Puraniya chauraha , wo Charbagh station.........


Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain mera apna, jiska naam hai L U C K N O W



!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



No comments: